Yatri gan, kripya dhyan dijiye.
Gadi sankhya shoonya-chhah-shoonya-saat-do-shoonya-do-chhah, 'Bhai Ke Shaadi Special Express', jo Raipur se hokar Bhimsen ki ore jaane wali hai, apne nirdharit samay par dulhe raja evam poori baraat ko lekar platform sankhya ek par aa chuki hai.
Sabhi yatriyon... yaani ki doston, rishtedaron aur baraatiyon se vinamra nivedan hai ki ve apna-apna sangeet mood turant on kar lein.
Is vishesh gadi mein dhol, nagade aur shehnai ki poori vyavastha ki gayi hai.
Kripya platform par hi jhoomna, gaana aur naachna prarambh karein, aur shaadi ke is sangeet samaroh ka bharpoor anand uthayein.
Kripya punah dhyan dein...
Is gadi mein bina hase, bina muskuraye aur bina naache yatra karna sakht mana hai.
Aap sabhi ko shubhkamnayein.
Dhanyavaad."