Maa baap ne kaha tha beti, izzat se rukhsat kar rahe hain…
Par rukhsati ke waqt dil jaise chhalni ho gaya, na jahez poora tha, na maan…
Saas ne darwazay pe hi keh diya: ‘Hamari bahu aisi gareeb to na honi chahiye thi!’
Shaadi ke pehle hafte hi taane shuru…
‘Yeh pehnne ka andaaz nahi, yeh chalne ka tareeqa nahi, tumhari maa ne kuch nahi sikhaya?’
Aur shohar?
Woh to jaise mujhse shaadi karke bojh utha liya ho…
Chehra dekh kar mooh mod leta, raton ko phone pe kisi aur se baatein,
Aur agar main kuch kahoon, to kehta: ‘Tum jaise hazaar mil jaati hain!’
Saas ne har baat pe taana diya:
‘Abhi tak umeed nahi? Kya faida aisi bahu ka?’
Aur jab Allah ne beti di, to chehre pe mayoosi…
‘Larka hota to kuch baat bhi thi’…
Main sab sahti gayi, kyun ke maa ne kaha tha:
‘Beti, susraal jannat ho ya jahannum, rehna tumhein hi hai…’
Kabhi kabhi sochti hoon,
Kya main insaan nahi?
Kya main mohabbat ke laayak nahi?
Ab to meri hansi bhi bojh lagti hai,
Aur khwab?
Woh to kab ke dafn ho chuke…
Ab bas saansein chal rahi hain,
Warna jeena to kab ka mar chuka hai…”*
اچھا تو آج میں آپ کو بتاتی ہوں کہ یہ جو نیا کنٹینٹ آیا ہے وہ بہت مزےدار ہے۔ میں اسے ٹین میں سے نائن دوں گی کیونکہ اس میں بہت کچھ سیکھنے کو ملا۔ آپ سب بھی دیکھیں اور مجھے بتائیں کہ آپ کو کیسا لگا۔